Chehre to zaiqon ki tarah the zaban par
par naqsh-e-aagahi tha kahan jism-o-jan par
ek cheekh si bikhar gayi banjar fizaon mein
main ne abhi to hath rakha tha kaman par
milna nahi to saf bata do abhi mujhe
aisay sitam rawa na rakho meri jan par
phir yun hua darakht he jar se ukhar gaya
main apni dhun mein betha hua tha machan par
aisa bhi kiya ke naqd-e-dil-o-jan he har do
gaahak to aaty jate hain har ek dukan par
aandhi chali to us ka nishan tak nahi mila
humko bhi kiya guman rahe saibaan par
khalid wo is tarah hai agar khush yunhi sahi
tala laga lo aaj se apni zaban par
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems