Kya sitam hai ke tujhe chor ke jana chahon
mein hathayli ki lekerain bhi mitana chahon
apne mahthey pe bikharti howi siahi le kar
teri nikhri howi tasweer banana chahon
yad he shewa arbab e wafa hai lekin
chand lamhoon ko tujhe bhool bhi jana chahon
tum to phir meri rag e jan se bhi nazdeek rahe
aur mein wo shaksh ke dushman ka bura na chahon
koi bat aisi ke ahbab kuridein jis ko
kuch to ho mein jesy logon se chupana chahon
sanglakhoon mein kisi zakham ka tanka tuty
ghum ko aankhon parony ka bahana chahon
husan ko shair mein likhne ki tamana khalid
kehkeshan chand ke mahthay pe sajana chahon
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems