Halal e eid ko dekho tu rok lo aansu
Jo ho sake tu mohabbat ka ehtram karo
|
Hanste hanste bugh gaya dil
Aayi khushi mein dekha ghum
|
Qadam rakha na apne mere dil se bahir
Kaha maan mera yeh ghar dil nasheen hai
|
Dunia tu chahti hai yun hi fasale rahain
Dunia ke mashwaroun pe na ja iss gali mein chal
|
Mujhe Maloom hai anjam rawa dade mohabbat ka
Magar mein kyon na thodi dair se reagan kar loon
|
Raat ki god mein palne wale
Roshni charo taraf chahte hain
|
Thokarien din ke ujaloun mein bhi khaye ga sada
Chandni pyar ke jungle mein na bole koi
|
Jo kuch hota su hota tu ne taqdeer
Wahan tak tu ne mujhe pohanchaya tu hota
|
Mohabbat jinke dil ki dhadkano ko tez rakhti hai
Woh aksar waqt ki raftar se aage bhi chalte hain
|
Raat mehki hui ayi hai kahien se pucho
Aaj bikhraye huey zalfe tar hadar hai kaun
|
Kyon madawe dard karte ho
Dard hi tu hai asra dil ka
|
Sakoon ka koi pal ho ke neend aye hamein
Nahi tu dard ke qohram mein hi su jayen
|
Shoola e gham hi dil ko phonke ga
jalte ghar ki bahar dekhain gaye
|
Hanste hanste bhoj gaya dil
Ayeen khushi mein dekha ghum
|
Tujh ko dekha tha meri aankhon ne
Apni aankhon pe mujhe pyar aya
|
Pyar tu karti hai sab dunia baat faqat aysar ki hai
Mehfil ko is se kya matlab shama jale ya parwana
|
Insaaf ki yeh aankh hai suraj ki roshni
Ya Rab yahi hai din tu mujhe raat chahiye
|
Bichare huey mashooq milian sab ko elahi
Tanha koi jannat mein na aaye mere samne
|
Saare manzar ek jaise saari baatein ek si
Saare din hain ek se aur sari raatein ek si
|
Gham hai aisa tha ke dil shak ho gaya warna faraz
Kaise kaise hadse hans hans ke seh jana pare
|
Gham bhi aaye tu tawazah mein ne khoon e dil se ki
Kab kisi per band mere ghar ka darwaza hua
|
Bhag rahi hai duniya sari jaise machi ho lout
Jeevan kache south ka dhaga dekh na jaye tout
|
Dard ke parde mein bakhsha mughe hasti ka shaour
Ye karam khoob kiya mujh pe khuda ne mere
|
Din tu dhal jaye tere aane ka hungama tu ho
Hum abhi shama jalate hain zara sham tu ho
|
Is dil ki aarzoo e mohabbat ko kya kahun
Jis dil ko arzoo e mohabbat hai apki
|
Khushi kya khaet per mery agar su bar ubar aawe
Samajhta hoon ke dhoonde hai abhi se badke khare man ko
|
Mehsoos ho raha hai mohabbat ki aanch thi
Bhoole se jis dil ki jalan keh gaya hoon mein
|
Ho na ho sab hai apni beti lakh karu inkar asar
Neend aankhon ki aurate ho keh keh ke fasana raaton ka
|
Us se kahu ke hum uske baghair jee lain gaye
Yeah ghum agar che zayada hai admi ke liye
|
Dil jab ehsaas ki aankhon se pighal jata hai
Gham e jana gham e doran mein badal jata hai
|
Kyon chedte ho zikar na milne ka raat ke
Puchain gaye hum sabab tu btaya na jaye ga
|
Ghum woh mehman hai jo badle huey mausam ki tarah
Jane kis desh se aya hai kidhar jaye ga
|
Eid per is shokh ne chaha tha hum se eid card
Nama gaib tha tu hum ne dil rawana kar dea
|
Dil se uth kar dastane ghum zuban tak aa gayi
Dil ki majboori kahan se yeah kahan tak aa gayi
|
Bach bacha kar tu hum chale thay bohat
Phir bhi kismat mein hadse thay bohat
|
Raat ka khamosh manzar aur tasveer yaar ka
Hai yahi ek waqt rahat ishq ke bimar ka
|
Jis ko insan ke dukh dard ka ehsas na ho
Kuch bhi hota ho woh insan kahan hota hai
|
Har mod pe milain gaye kayi rahzan shakeeb
Chaliye chup ke gham bhi zar ou mal ki tarah
|
Roshni aankhon se dil se walwale chehre se rang
Le gayi sab kuch uda ke gham ki woh aandhi chali
|
Inhi gham ki ghata se khushi ka chand nikle ga
Andheri raat ke pardon mein din ki roshni bhi hai
|
Raat din ghafil badoun se hi kya kar naikien
Kya bura hai is mein kuch tera bhala ho jaye
|
Jise har mod pe dukh hi miley hoon
Khushi ko woh kahan pehchanta hai
|
Roshni aankhon se dil se walwale chehre se rang
Ly gai sab kuch uda le ghum ki woh aandhi
|
Dil waloun ki dunia mein hai rasm ke jab koi
Aye tu qadam lena jaye tu dua dena
|
Mohabbat bad guman ho jaye tu zinda nahi rehti
Asar dil per tumhari berukhi se kum nahi hota
|
Raat is dar se tujhe sochte kati mein ne
Meri aankhon mein tera khwaab mela na ho jaye
|
Sada hum faqeeron ki kum sunane waloun
Mizaaj e mohabbat mein shahi bohat hai
|
Hum ne barsat ke mausam mein jo chahi touba
Abar us roz se garja ke ilahi touba
|
Dard mein lazat fagahan mein soz tanhai mein kaif
Zabt e gham se ishq mein kya husn paida ho gaye
|
Raat ke seep se jab dard ho raha hota hai
Subah dum syankaroun palkoun pe saja hota hai
|