Bahar Aayi Kisi Ka Saamna Karne Ka Waqt
Bahar aayi kisi ka saamna karne ka waqt aaya sambhal aye dil ke izhar-e-wafa karne ka waqt aaya
|
Khazan Ke Sath Bahut Door Mujh Ko Jana
Khazan ke sath bahut door mujh ko jana hai
na intezar kar aye fasle-nubahar mera
|
Har Khazan Ke Ghubar Mein Humne
Har khazan ke ghubar mein humne
karwan-e-bahar dekha hai
|
Na Jane Kab Palat Aaye Gai Woh Bahar
Na jane kab palat aaye gai woh bahar ki rut dayar-e-dil ka koi dar zara khula rakhna
|
Bulbul Kahan Bahar Kahan Baghban Kahan
Bulbul kahan bahar kahan baghban kahan
woh din guzar gaya woh zamana guzar gaya
|
Tera Aana Khazan Ka Jana Hai
Tera aana khazan ka jana hai
khul gaye hain isi bahar mein hum
|
Kya Din The Jab Nazar Mein Khazan Bhi
Kya din the jab nazar mein khazan bhi bahar thi yun apna ghar bahar mein veeran na tha kabhi
|
Main Mausam-E-Khizan Se Talab Kar Raha
Main mausam-e-khizan se talab kar raha hoon rang
shayad tarap ke jaag uthe rut bahar ki
|
Koi Kuch Pata Agar De To Nikal Ke Aashiyan
Koi kuch pata agar de to nikal ke aashiyan se woh bahar dhund laon jo badal gayi khazan se
|
Khazan Ki Godh Mein Bhi Phool Muskura
Khazan ki godh mein bhi phool muskura uthe kuch is tarah se baharon ka ahtram karo.
|