Kis dard ki aanch hai ke ab tak
andar se badan pighal raha hai
|
Ishq-o-junoon ke bab mein chahiye kar-e-raftagan aye mere jazba wafa jee ka zara zayan to hai
|
Bat gayi hai in giant khano mein tanha zindagi aur ta had-e-nazar hai ek samundar khuwab ka
|
Fiza udas' sitare udas' raat udas
ye zindagi hai to hum bhi udas ho jayen
|
Dil ke har baar mohabbat se lahu hota hai
Dil ko har baar yahi kare zayan kehna chahta hai
|
Agar yeh raat na apne diye bhojaya kare
Tu kaise koi hisab e ghum bakaya kare
|
Rokte rokte bhi aankh chalak uthti hai
Kya karein dil ko agar rog purane lag jaye
|
Kam jitna tha mohabbat ka mohabbat ne kea
Jitna hona tha zamane se zamane se hua
|
Dil ka damane dareda nahi silta tu mian
Bhar mein jaye agar chak rada bhi ho jaye
|