Bas aik bar mujhe zakham bewafai de
ke apna aks isi taur he dekhai de
totolta hoon mein ab jism wa jaan ki devarain
wo teergi hai kise rasta dekhai de
mitye harf e galat ki tarah mujhe koi
meri wafa ke ewaz dard e ashnai de
koi to hanste howe de mujhe bhi zakham e jafa
mere khaloos ke badle mein jag hansai de
tu bawafa hai dupate ko ansoon mein bhigoo
mein bewafa hoon mere zulm ki duhai de
bikhar gaya hoon fizaon mein booye gul ki tarah
is aas par ke kahain tu mujhe dekhai de
ulajh gaya hoon khud apni he zaat mein khalid
mujhe aseer kare ya koi rahai de
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems