Go wafaon ke ewaz hum pe kuch ilzam bhi hai
par is afsane mein sunte hain tera naam bhi hai
dil wehshi na ghum sud wa zayan se ghabra
ke surahi bhi hai saqi bhi hai aur jam bhi hai
ab tere ghum ki jarahat ka maza aye ga
ab zara sath mere gardish e ayam bhi hai
is ki mehfil se uthya to gaya hoon lekin
mere hissay mein abhi tana wa dishnam bhi hai
shayiri apne liye bais e izat na sahi
han magar log samjhte hain ye ilham bhi hai
hai to ab tark e taluq ke he qabil khalid
ke wo shair bhi hai khud sar bhi hai badnam bhi hai
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems