Jismon ka bhanwar chor ke sahil ki taraf aa
aay shehar e tamana ke makeen dil ki taraf aa
jeena ho to hain rah ke pathar tere humrah
marne ki tamana hai to manzil ki taraf aa
hasil na howa kuch to kahan tak karain noha
aay garya khoon hasrat e hasil ki taraf aa
us chand se mathe pe koi dagh na ubhre
sun aay ghum e jan apne maqabil ki taraf aa
aay dost nasihat he agar hai tujhe maqsood
aa sath mere cocha qatil ki taraf aa
aay jism e tan aasan garan cosh garan cosh
aay zehan e rasa aqda mushkil ki taraf aa
aay naqsh e qaf e paye hina basta-damak uth
aay rahguzar e shehar e wafa_ dil ki taraf aa
ab khanda gul dil ko lubhata nahi khalid
ab garya pur shor e anadil ki taraf aa
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems