Tumhare zulam ke qissy jahan jahan tak hain
hamare sabar ke kuch silsilay wahan tak hain
zamen ki had mein rehain gaye ke asman tak hain
kise khabar hai ke ye peech wa kham kahan tak hain
wo aajzi hai ke palkain kabhi uthi he nahi
hamare khawab sabhi ranj e raaygan tak hain
tumhare zehan e rasa ki rasayan yaro
bus aik banda aajiz ke jism wa jan tak hain
tumhare roop to sawan ki dhoop jese hain
aur apne shikway bus ek yar e mehrban tak hain
nishan e khanjar e qatil kahain mile na mile
lahoo ke qatre to bus koe dostan tak hain
kahan ye lafaz mein juraat ke ho bayan khalid
ye sari batain to bus zaib e dastan tak hain
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems