Gham e jahan ne kiya hai kharab pehle bhi
hamare dil ne sahay hain azab pehle bhi
abhi jo khawab se jaga to yun howa mehsoos
ke jese dekha hua hai ye khawab pehle bhi
likha tha pehle bhi khwahish ki nazam ka ek band
parha howa hai tamanna ka bab pehle bhi
azab e jan usy kehye ke jan e jan kehye
khula raha kai hafte ye bab pehle bhi
mein us ko pehle bhi parhne mein kamyab na tha
bana hua tha wo chehra naqab pehle bhi
mein us ke dil mein kabhi jhank kar na dekh saka
mere liye thi wo aankhen sarab pehle bhi
sada mein apni shash o panj mein raha khalid
mere aado he rahe kamyab pehle bhi
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems