Wo jis ka zikar bohat apni shayari mein hai
ek aur shakhs bhi ab is ki zindagi mein hai
wo rabat rakhay ga mujh se bary khaloos ke sath
magar wo rabat jo gardan mein aur churi mein hai
bare khuloos se deta hai wo fareb mujhe
mein sab samajhta hoon par lutf to isi mein hai
nishana bandh ke mara mujhe andhere se
wo janta tha ke ye shakhs roshni mein hai
wo nazki jo kisi ke labon se hai makhsoos
janab e meer kahan gul ki pankhari mein hai
hazar jalwa numai ho rah mein khalid
magar woh lutf kahan hai jo sadgi mein hai
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems