Manzroon ke liye panahian dein
shukar hai us ka jis ne aankhen dein
shukar hai us ka jis ne sochain dein
aur phir sochne ko rahein dein
beej dharti ki kokh se phuta
us ne darya banaye nehrain dein
us ki rehmat zameen par utri
us ne barish ki aabsharain dein
apni qudrat ko aashkar kiya
tapte sehraon ko bhi jheelain dein
us ne har cheez ko diya masraf
sangrezon ko bhi zabanain dein
hasn e fitrat ki di shanasai
pathron ko bhi dastaanein dein
phool us ne banaye, rang diye
titliyon ko haseen qabain dein
kaif bakhsha hawa ki mojon ko
dhoop ko roshni ki lehrain dein
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems