Tamam shehar mein woh naqsh e pa talash karoon
ke aankh band rakhon aur hawa talash karoon
abhi to sari kahani pas_e_ shab_e_ ghum hai
taloo e subha ka anwan kiya talash karoon
abhi sapat se raste pe chalta jata hoon
mein kho chukon to koi rehnama talash karon
na sun sakoon ke samat bhi qarz thi mujh ko
na dekh paon to aankhon mein kya talash karoon
wajood mehke to gunchy bhalay lagain mujh ko
ghutan se niklon to mauj e saba talash karoon
ab is se bhar ke junoon aur kya dekhe ga
ke aainon mein tera naqsh e pa talash karoon
mile jo chashm e basirat kabhi mujhe khalid
to apne ap mein jins wafa talash
Rating :
- Views
- Total Send
- characters
Related Poems